Saturday, August 20, 2011

अन्ना जिंदा तेरा नाम रहेगा !




जब तक जहां में इंसान रहेगा,
अन्ना जिंदा तेरा नाम रहेगा !
इतिहास में तेरा काम रहेगा,
होठों पे तेरा ही नाम रहेगा !!

विवाद में जो लोकपाल रहेगा,
देश में चलता भ्रष्टाचार रहेगा !
खाने का यहाँ अकाल रहेगा,
आम आदमी कंगाल रहेगा !!

अन्ना जब तक तू साथ रहेगा,
गूंजता ये आसमान रहेगा !
दिल में हमारे तूफ़ान रहेगा,
खून में सबके उबाल रहेगा !!

ये संघर्ष तो चलता रहेगा,
मशाल तेरी जलाये रहेगा !
भारत बुलंदी छूता रहेगा,
देश में अमन-चैन रहेगा !!



Jab tak jahaan me insaan rahega,
Anna jinda tera naam rahega !
Itihaas me tera kaam rahega,
Hothon Pe tera hi naam rahega !!

Vivaad me jo LokPal rahega,
Desh me chalta Brashatachaar rahega !
Khane ka yahaan akaal rahega,
aam aadmi kangaal rahega !!

Anna jab tak tu saath rahega,
Goonjta ye aasmaan rahega !
Dil me hamare toofan rahega,
Khoon me sabke ubaal rahega !!

Ye sangharsh to chalta rahega,
Mashaal teri jalaye rahega !
Bharat bulandi chhoota rahega,
Desh me aman-chain rahega !!

No comments:

Post a Comment