Friday, April 12, 2013

Kya padhun?

kisi ka chehra ki, kisi ki aankhein,
yaa padhun haathon ki lakeerin,
Kya padhun?


padhun tere dil ki baatein,
ya khamosh tanhaa raatein,
Kya padhun?


padhun aasamaan ki rangeen bahaarein,
ya aaj padhun kuch gazalein kuch malhaarein,
Kya padhun?


sochta hun padhun zindagi ki raahein,
ya sannate me in hawaon ki aahein,
Kya padhun?


padhun apni hi khoyi meethi yaadein,
yaa fir padh lun do-chaar kitaabein...
Kya padhun?

No comments:

Post a Comment